Home ๐ŸŽฌ Bollywood ๐ŸŽต Pakistani ๐ŸŽค English Pop

Abbas Na Lautey

๐Ÿ‘ค Ali Shanawar & Ali Jee โ€ข ๐ŸŽผ Azadar โ€ข โฑ๏ธ 6:26
๐ŸŽต 810 characters
โฑ๏ธ 6:26 duration
๐Ÿ†” ID: 11896842

๐Ÿ“œ Lyrics

abbas na laute sheh aagaye mashq aagayi
maqtal ki zameen bha gayi abbas na laute
abbas na...

is shaan se maqtal ko sidhara tha alamdaar
aada ki nazar thak gayi abbas na laute
abbas na...

jab teer chala beh gaya sab mashq se pani
abbas ko sharm aagayi abbas na laute
abbas na...

rone ke liye laashaye shabbir pe ran may
firdaus se maa aagayi abbas na laute
abbas na...

qaimo may lagi aag to ammu ko bulane
masoom sakina gayi abbas na laute
abbas na...

had hogayi bhai ko manane labe saahil
khud saaniye zehra gayi abbas na laute
abbas na...

kya jaaniye kyon rooth gaye kehti thi zainab
ruqsat ki ghadi aagayi abbas na laute
abbas na...

behta hua kano se lahoo sukhe hue lab
dikhlane sakina gayi abbas na laute
abbas na...

deti rahi awaaz pe awaaz sakina
aakhir ko khaza aagayi abbas na laute
abbas na...

โญ Rate These Lyrics

โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†
Average: 0.0/5 โ€ข 0 ratings