Home ๐ŸŽฌ Bollywood ๐ŸŽต Pakistani ๐ŸŽค English Pop

Mahabharat

๐Ÿ‘ค Pooja โ€ข ๐ŸŽผ Mahabharat โ€ข โฑ๏ธ 2:39
๐ŸŽต 1680 characters
โฑ๏ธ 2:39 duration
๐Ÿ†” ID: 12657331

๐Ÿ“œ Lyrics

Mahabharat utpatti

'Jay' namak mahakavya, jise hum Mahabharat ke naam se bhi jaante hain; ek sacchi ghatna hai
Krishna Dvaipayan, jinhein hum Ved Vyas ke naam se bhi jaante hain
Ne ghor tapasya aur dhyaan se puratan vedon ko padha
Unhein samjha aur sab ko samjaya bhi

Maanv ki bhalai hetu
Wo apne vichaar likhit roop mein bhi chhahte the
Taaki sab use padh aur samajh sakein
Aur is kaam ke liye unhone Shri Brahma se madad maangi

Wo Brahma ji ke paas gaye aur unse kaha
"Pranam Brahmdev, maine ek mahakavya racha hai
Aur ise likhne ke liye mujhe aapki madad chahiye"
"Shri Ganesh ki aradhna karo
Is kaam ko karne mein ve tumhari madad zaroor karenge", Brahma ji bole

Maharshi Vyas ne Shri Ganesh ki aradhna aarambh ki
Unki aradhna safal hui aur Shri Ganesh ne unki baat maan li
Maharshi Vyas ne apni amar vaani se Shri Ganesh ke samaksha
'Jay' namak mahakavya ka kathan shur kiya aur Shri Ganesh use likhte gaye

Mahakavya khatm hone ke baad Maharshi Vyas ne apne putron aur apne shishyon ko
Charon vedon ke saath Mahabharat bhi padhaya
Lekin jab tak Mahabharat ki vyakti rekhayein is prithvi per jeewit thin
Tab tak is mahakavya ka kathan kisi ke saamne nahi kiya gaya

Ek din Maharshi Vyas ke putra Janamejay ne sarpasatra yagya ka aayojan kiya
Apne sabhi shishyon ke saath Maharshi Vyas wohan padhare
"Kauravon aur Pandavon ke beeche hue sangharsh ke aap sakshi hain
Un saari ghatna'on ko main aapse sun'na chahta hoon", unke ek naye shishya ne kaha

Maharshi Vyas ne apne ek shishya; Vaisampayan ko bulaya aur kaha
"Vaisampayan, 'Jay' namak mahakavya jo tumne mujhse suna tha, uska kathan karo"
Aur isi prakar Vaisampaya ne pehli baar 'Jay' namak mahakavya logon ko sunaya

โฑ๏ธ Synced Lyrics

[00:02.77] Mahabharat utpatti
[00:07.13] 'Jay' namak mahakavya, jise hum Mahabharat ke naam se bhi jaante hain; ek sacchi ghatna hai
[00:13.82] Krishna Dvaipayan, jinhein hum Ved Vyas ke naam se bhi jaante hain
[00:18.82] Ne ghor tapasya aur dhyaan se puratan vedon ko padha
[00:23.64] Unhein samjha aur sab ko samjaya bhi
[00:28.17] Maanv ki bhalai hetu
[00:29.82] Wo apne vichaar likhit roop mein bhi chhahte the
[00:33.22] Taaki sab use padh aur samajh sakein
[00:36.43] Aur is kaam ke liye unhone Shri Brahma se madad maangi
[00:42.81] Wo Brahma ji ke paas gaye aur unse kaha
[00:46.18] "Pranam Brahmdev, maine ek mahakavya racha hai
[00:49.93] Aur ise likhne ke liye mujhe aapki madad chahiye"
[00:53.74] "Shri Ganesh ki aradhna karo
[00:56.24] Is kaam ko karne mein ve tumhari madad zaroor karenge", Brahma ji bole
[01:01.58] Maharshi Vyas ne Shri Ganesh ki aradhna aarambh ki
[01:09.46] Unki aradhna safal hui aur Shri Ganesh ne unki baat maan li
[01:14.80] Maharshi Vyas ne apni amar vaani se Shri Ganesh ke samaksha
[01:20.04] 'Jay' namak mahakavya ka kathan shur kiya aur Shri Ganesh use likhte gaye
[01:28.29] Mahakavya khatm hone ke baad Maharshi Vyas ne apne putron aur apne shishyon ko
[01:34.78] Charon vedon ke saath Mahabharat bhi padhaya
[01:38.68] Lekin jab tak Mahabharat ki vyakti rekhayein is prithvi per jeewit thin
[01:43.59] Tab tak is mahakavya ka kathan kisi ke saamne nahi kiya gaya
[01:49.11] Ek din Maharshi Vyas ke putra Janamejay ne sarpasatra yagya ka aayojan kiya
[01:56.33] Apne sabhi shishyon ke saath Maharshi Vyas wohan padhare
[02:01.18] "Kauravon aur Pandavon ke beeche hue sangharsh ke aap sakshi hain
[02:06.07] Un saari ghatna'on ko main aapse sun'na chahta hoon", unke ek naye shishya ne kaha
[02:12.66] Maharshi Vyas ne apne ek shishya; Vaisampayan ko bulaya aur kaha
[02:18.81] "Vaisampayan, 'Jay' namak mahakavya jo tumne mujhse suna tha, uska kathan karo"
[02:25.85] Aur isi prakar Vaisampaya ne pehli baar 'Jay' namak mahakavya logon ko sunaya
[02:33.03]

โญ Rate These Lyrics

โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†
Average: 0.0/5 โ€ข 0 ratings