Home ๐ŸŽฌ Bollywood ๐ŸŽต Pakistani ๐ŸŽค English Pop

Naseeb Men Jiske Jo Likha Tha

๐Ÿ‘ค Mohammed Rafi โ€ข ๐ŸŽผ Do Badan โ€ข โฑ๏ธ 4:13
๐ŸŽต 1084 characters
โฑ๏ธ 4:13 duration
๐Ÿ†” ID: 16972295

๐Ÿ“œ Lyrics

Naseeb mein jiske jo likhaa tha
Vo teri mahfil mein kaam aayaa
Naseeb mein jiske jo likhaa tha
Vo teri mahfil mein kaam aayaa
Kisi ke hisse mein pyaas aayi
Kisi ke hisse mein jam aayaa
Naseeb mein jiske jo likhaa tha

Main ek fasaanaa hoon bekasi ka
Ye haal hai meri zindagi ka
Main ek fasaanaa hoon bekasi ka
Ye haal hai meri zindagi ka
Ye haal hai meri zindagi ka

Naa husn hee mujko raas aayaa
Naa ishq hee mere kaam aayaa
Naseeb mein jiske jo likhaa tha

Badal gayi teri manzilen bhee
Bichhad gaya main bhee kaaravaan se
Badal gayi teri manzilen bhee
Bichhad gaya main bhee kaaravaan se
Bichhad gaya main bhee kaaravaan se

Teri mohabbat ke raaste mein
Naa jaane ye kya maqaam aayaa
Naseeb mein jiske jo likhaa tha

Tuje bhulane kee koshishen bhee
Tamaam naakaam ho gayi hain
Tuje bhulane kee koshishen bhee
Tamaam naakaam ho gayi hain
Tamaam naakaam ho gayi hain

Kisi ne zikr-a/e-vafaa kiya jab
Zubaan pe tera hee naam aayaa
Naseeb mein jiske jo likhaa tha
Vo teri mahfil mein kaam aayaa
Kisi ke hisse mein pyaas aayi
Kisi ke hisse mein jam aayaa
Naseeb mein jiske jo likhaa tha

โญ Rate These Lyrics

โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†
Average: 0.0/5 โ€ข 0 ratings