Home ๐ŸŽฌ Bollywood ๐ŸŽต Pakistani ๐ŸŽค English Pop

Questions?

๐Ÿ‘ค Umer Anjum feat. superdupersultan โ€ข ๐ŸŽผ Questions? โ€ข โฑ๏ธ 3:54
๐ŸŽต 2195 characters
โฑ๏ธ 3:54 duration
๐Ÿ†” ID: 6554251

๐Ÿ“œ Lyrics

Jitna bhi likhun mein lagay kam kyu
Kya tum ho arzu joh de rahe ho dard yun
Khudka dost, khudhi ka me dushman
Khud hi ka sahara khud ko bolun Umer mard ban
Guzar hai mera, jahan hai tu
Sabar hai mera tujh se akay na milun
Ab hota nahi koi zikar mera
Tu mujhay lafz lafz yaad toh mein agay yeh likhun
Ek hi dost mera usay teri baatein mein karun
Fkn Questions hamare baray kitne me sahun?
Ride or die say, byes n cut ties
I always had your back agay kya badhun
Now I see you
Going places tu bhi thak jati I feel you
Tu saamne bhi hokay jese mile door
Nighebaan wada nibhata me bara dheet hoon
Tum atay nahi ho milnay
Dhekun rahein teri kafi sakhi hai dil yeh
Woh bhag bhi nahi khiltay
Joh tum gaye ho ab atay nahi ho milney
Tum atay nahi ho milney
Dhekun rahein teri kafi sakhi hai dil yeh
Woh bhag bhi nahi khiltay
Joh tum gaye ho ab atay nahi ho milney

Tum mashwaron may kaid hai zamane ki
Gali may hai andhera tu to thehri yahan zara bhi nahi
Saji thi woh kabhi
Ek waqt hum tumhare thay
Katega intezar yahi soch mein tum arahe thay
Ab kya karega dil mera
Kya bataon usay kho gaya hai Dil mera
Ab hoti nahi karam ya nawazishen
Bas chinay mujhsay log na awaz bas ho sazishen
Khuda hai gawah kesi kat ti woh ibadatein
Emaaraton ko rad kare ana teri bhi qaabil hai
Hum aaj bhi kharay wahin jahan chhoda tuzhko haray thay
Na maano yeh ilzaam hum shuru say hi tumhare thay
Shuru say hi tumhare thay
Thay hum jana sath dekhi dhoop aur yeh baarishein
Banake yaadein baithe kudh aur tuzhko kyu bura kahen
Ajab si hai yeh kehfiat kay kese ab sulah karein
Bhalla karen kay na milen
Ya milkay kuch bhalla karein
Mein chupta phirun logo say ab kisko yaha gawah kehein
Zakham ko har dawah kehein
Par khudke nahi hum kya karein
Woh dua kay hi aasray bahengey teri yaad may
Tu zara bhi na sochay mere baray
Isi soch may hi kaid baithe sardiyan guzarein
Kabhi teiz hoti dhoop baithe chao kay sirahne
Kyun virane mein rahe yeh dil banata hai bahane
Tum atay nahi ho milnay
Dhekun rahein teri kafi sakhi hai dil yeh
Woh bhag bhi nahi khiltay
Joh tum gaye ho ab atay nahi ho milney
Tum atay nahi ho milney
Dhekun rahein teri kafi sakhi hai dil yeh
Woh bhag bhi nahi khiltay
Joh tum gaye ho ab atay nahi ho milney

โญ Rate These Lyrics

โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†
Average: 0.0/5 โ€ข 0 ratings