Home ๐ŸŽฌ Bollywood ๐ŸŽต Pakistani ๐ŸŽค English Pop

Kya Jaipur Kya Dilli

๐Ÿ‘ค Rahgir โ€ข ๐ŸŽผ Rahgir Live โ€ข โฑ๏ธ 5:35
๐ŸŽต 3439 characters
โฑ๏ธ 5:35 duration
๐Ÿ†” ID: 9532544

๐Ÿ“œ Lyrics

Chomu ke chaurahe par ek buddhe baitha nanga
Aate jaaton ko puchta ke kyun bhai changa
Jo ruk jaata usse bolte ke sun bhai setha
Arey jaa Agra munh me lele aagre ka petha
Ya Jaipur jaake rangwale pichwada gulabi
Mujhe laga ke koi pagal hai ya fer sharabi

Mai vella tha jaa baith gaya uske baaju me
Pucha babaji kyu laayi hai tune yeh chillam-chilli

Woh bola jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey kya Jaipur kya Delhi bhai re kya Jaipur kya Delhi
Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi

Arey kya Jaipur kya Delhi kya Patna, Ludhiana, Chandigarh
Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kulu, Chamba, Sikar
Jhunjhunu, Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi
Kalkatta, Indore, Chennai, Guwahati, Aizawl, Madurai
Sirsa, Surat aur Tiruchirappalli
Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi

Woh bola mere gaon me ek shaam ek banda
Ghar pe lauta thaka hara
Uski biwi gayi thi padosiyon se
Maangne bhains ka chara
Par uss bande ko ghar aate hi
Chai chahiye hoti thi
Aur nahi kisi ki iss baare me
Raay chahiye hoti thi
Woh lauti ghar toh dhar liya usko
Diye laat aur ghoonse
Arey moot nikal gaya salwaar me
Khoon nikal gaya munh se
Arey moot nikal gaya salwaar me
Khoon nikal gaya munh se
Phir ussi haal me pakad bhagona gayi kitchen ke andar
Ek aag wahan chulhe me thi
Ek uske mann ke andar
Ek aag wahan chulhe me thi
Ek uske mann ke andar
Ek aag wahan chulhe me thi
Ek uske mann ke andar

Aur dukh ki baat toh yeh hai
Aise kisse aam hai har kshetra me
Plain ho chahe hilly
Dukh ki baat toh yeh hai
Aise kisse aam hai har kshetra me
Plain ho chahe hilly

Kyuki Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey kya Jaipur kya Delhi bhai re kya Jaipur kya Delhi
Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi

Arey kya Jaipur kya Delhi kya Patna, Ludhiana, Chandigarh
Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kulu, Chamba, Sikar
Jhunjhunu, Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi
Kalkatta, Indore, Chennai, Guwahati, Aizawl, Madurai
Sirsa, Surat aur Tiruchirappalli
Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi

Mujhe laga ke baba hai kuch jyada hi badbola
Par usne meri baat kaat di jese hi munh khola
Woh bola khandela ke baajar ek shaam hua yeh kissa
Ke ek thele se ek bhukhe ne utha liya ek samosa
Phir wahan khade the sabne dhoya
De muncho pe tanv woh dara singh ho gaye
Aur ghar jaakar ke apni apni beewiyon ki
Baahon me so gaye
Agle din usi chowk par usi jagah par
Ek siskte majdoor ke ek thekedaar
Bhai kha gaya paise
Aur wahin khade the chuppi saadhe
Muncho waale bhainse

Arey seena dhans gaya moonche neechi
Ho gayi nikar dheeli
Arey seena dhans gaya moonche neechi
Ho gayi nikar dheeli

Isiliye toh kisi shyaane ne kaha hai
Ke jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey kya Jaipur kya Delhi bhai re kya Jaipur kya Delhi
Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi

Arey kya Jaipur kya Delhi kya Patna, Ludhiana, Chandigarh
Ambarsar, Bambai, Shimla, Manali, Kulu, Chamba, Sikar
Jhunjhunu, Kota, Churu, Kashi, Kochi, Goa, Ranchi
Kalkatta, Indore, Chennai, Guwahati, Aizawl, Madurai
Sirsa, Surat aur Tiruchirappalli
Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey Jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi
Arey jahilo ka koi sehar nahi kya Jaipur kya Delhi

โญ Rate These Lyrics

โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†โ˜†
Average: 0.0/5 โ€ข 0 ratings