Description:
Teri Kaynat Mere Khali Hath
Aur Taar Taar Sapne
Gaye Zakhm Jaag Mere Seene Aag
Lagi Saans Saans Tapne
Teri Kaynat Mere Khali Hath
Aur Taar Taar Sapne
Dardon Se Choor Gham Ka Guroor
Kahun Kya Main Haal Apne
Awara Awara Awara Angara
Raaton Mein Dooba Ambar Ka Banjara
Jaane Toota Kyun Main Sheesha Na Taara
Teri Kaynat Mere Khali Hath
Aur Taar Taar Sapne
Gaye Zakhm Jaag Mere Seene Aag
Lagi Saans Saans Tapne
Koi Udhaari Hai Seene Pe Bhari Hai
Pathar Hai Ya Dil Hai
Main Hi Akela Hoon Main Hi Toh Mela Hoon
Yeh Kaisi Mehfil Hai
Roothe Savere Hain Aadhe Hi Mere Hain
Aadhe Hain Yeh Tere
Tu Hai Nigaahon Mein Lava Hai Aahon Mein
Par Sard Shaam Gehre
Aawara Aawara Awara Angara
Aansoo Hai Mere Ya Pighla Hai Paara
Jaane Toota Kyun Main Sheesha Na Taara
Mera Imtihaan Tu Jo Le Raha Hai
Ab Na Riyayatein Kar
Maine Ishq Seekha Maine Pyar Seekha
Tu Chahe Nafratein Kar
Maine Dil Diya Hai Maine Dukh Liya Hai
Tu Saudayi Maan Le Par
Mera Imtihaan Tu Jo Le Raha Hai
Ab Na Riyayatein Kar
Aawaara Aawaara Aawaara Angaara
Raaton Mein Dooba Ambar Ka Banjara
Jaane Toota Kyun Main Sheesha Na Taara
Mera Imtihaan Tu Jo Le Raha Hai
Ab Na Riyayatein Kar
Maine Ishq Seekha Maine Pyar Seekha
Tu Chahe Nafratein Kar
Share this link via
Or copy link























